Hello guys bahut dino tak kuch post nhi kar paya due to some reasons. Reasons to kya hote h bas busy ho jata aur kamo me. Aaj ye post daal rha hu Bhiwadi ki jo sabse badi problem h wo h water logging issue at Alwar Bhiwadi Bypass and Bhagat singh colony. Jha bhiwadi residential aur industrial waster water aake jama ho jata h, pahle ye pani Haryana Dharuhera me chala jata tha, but jabse haryana walo ne bypass pe ek chota sa baandh bna kar roka that tab se ye problem h.
Abhi kal maine dekha ki krish Square ke pas se ek bandh bna kar pani ko rok diya gya jo aage bypass ki taraf pani nhi aane denga. Aur dusri side me Modern school ke dusre gate jo bida wali building ke samne h waha pe bhi pani ko rok diya gya. To m waha gya aur pta chal ki ki Bida ne ye kiya h aur unhone nale ko bhi rokme ki koshish ki thi taki pani ko yahi tak roka ja sake.
Kyoki jab se yha pani roka gya, udhar Nexa wali building ke samne jo bypass pe bandh h use bhi khol diya gya. Aur pani ab idhar Sukham Tower ki entry wali side me niche tak aa gya aur yha se ab paidal wale andar nhi ja sakte h.
Ise ek koshish samjhi ja sakti h ki Bypass se pani sukha ke idhar Bhiwadi aur Dharuhera ki connectivity dubara se start ho jaye. But pta nhi kitne din aur lagenge ki bhiwadi aur dharuhera connectivity wali ye main road dubara se start ho payengi.
But aaj subah maine dekh ki jaha Bida ne pani roka tha waha kuch kaam chal rha h aur pani bhi kafi sukh chuka h ya phir pta nhi kaha chal gya. Ye dekh kar ek hope jagi h ki sayad ab ye jaldi thik ho jaye.


