Hello guys aaj ek nya post leke aaya hu jo h ek aur baba ke bare me. Maine subah Insta par dekha tha ki wo kaise charo taraf aag lga ke beech me baithkar tapasya kar rha h aur log specially ladies uske charo taraf ghum rhi h. Aap sabse pahle to is baba ko dekh lo phir mera review bhi padhna.
Check my review
Sabse pahle to ye baba aise hil kyu raha h? kya ye proove kr rha h ki sachme bhagwan isme aa rhe h, tabhi to log samjhege ki sach me kuch to ye kar rha h jiska ispar asar ho rha h. Aur aapne dekha mostly housewives ladies hi h jo iske charo taraf chakkar lga rhi h, ye hi log hi sabse pahle murkh ban jate h aise pakhandi babao se. Nhi to ye baba kar kyu raha h aisa, aya jarurat h ise aise aag ke beech me baith ke pooja krne ki, kya bhagwan tabhi ise sachcha bhakat manege jab ye aisa kuch karenga, nhi balki ye to sabse achcha tarika h logo ko murkh bnanae ka.
Iske aise pooja krke se konsa samaj ka aur desh ka bhala kar rha h ye. Kisi ka bhi nhi, bas life me kuch kar nhi paya hoga, to ye pakhand karne lg gya aur ise pta h ki logo ko shortcuts dikhaunga, daraunga bhagwan ke naam par to ye so called anpadh ladies to pagal ban hi jayengi.
Pta h sabse bada crime yha kon rha h, ye ladies, ye khud to murkh h hi, aur sath me apne bachcho ko bhi in sab cheezo me viswas krne ko bhi bolengi. Unke kahne par totke karengi, bina kisi sense ke ghar me alag niyam bnayengi ki aaj ye war h to ye kaam nhi kar sakte ye kapde nhi pahan sakte etc.
Ye hi wo baba h jiske paas ye aayi ki mere ladke ki shadi ho jaye, ya phir inko ladka nhi ho rha hota h, to uske liye aati h, ya phir inke ladki ki naukri lag jaye, aisi hi common wishes hoti h inki, jinke liye ye sab aise is baba ke chakkar lga rhi h. Ye sab pkhand krne se koi bhagwan ya uska avtar nhi ban jata h. Ye sab baba apni dukan chala rhe h aur aapke emotions ka phayda utha kar.


No comments:
Post a Comment